0
Posted by Saurav Arya on 9:02 AM


GAAO WAALE :..lekin humre paas kuch aisa hai.. jo unke paas na hai aur na kabhi hoyega..

MOHAN : kya?

GAAO WAALE: sanskaar aur parampara..
haa bhai haa..
aur jab tak ee humre paas hai..tab takhumra koi kuch nahi bigad sakta hai..
humra desh duniya ka sabse mahaan desh hai..
haa bhai.. sanskaar aur parampara hamaari sabse badi taakat hai..

apko kya lagta hai?

hume to nahi lagta hai ki mohan ji is baat ko maante honge..
kyo mohan ji?

MOHAN : ji haan .. main nahi maanta ki hamaara desh duniya ka sabse mahaan desh hai..leikn hum me kabiliyat hai.. taakat hai.. apne desh ko mahaan banaane ki..
.
.
.
.
.
.
.
.
hum log sirf aapas me ladte rehte hai.. jabki hume ladna chahiye..
asiksha ke khilaaf, bhadti aabaadi aur bhrastachaar ke khilaaf..
hum me se har koi .. har roj.. galiyo me sadko pe yahi kehta rehta hai ki.. is desh ka kuch nahi hone waala.. ye desh barbaadi ki or badh raha hai..
agar hum sirf yahi kehte rahe to sachmuch ye desh barbaad ho jaayega
aur iske liye aapko kuch karna hai.. aapko bhi.. sirf pancho ko nahi.. aap sab gaao waalo ko.. aap apni samasyao ke liye in pancho ko doshi thehrate hai lekin inki jagah par aake aap bhi wahi karenge..aur ye baat.. ye baat mujhpe bhi laagu hoti hai..
Dalit ,brahmin ko dosh dete hai..brahmin kehte hai dalit unke.. unki jaati ko bhrast kar rahe hai.. lohaar aur kumhaar , lala ke karj ko dosh dete hai.. zamindaar kishaan ko dosh dete hai .. lekin.. unka haq nahi dete to fir hum... hum mahaan kaise huye??
gaao me dikkate hai to hum sarkar ki or ungli uthaate hai aur wo kisi aur ki taraf.. hum sab... ek dusre ko dosh de rahe hai ..jabki sachhai ye hai ki hum sabhi.. hum sabhi doshi hai.. kyoki samasya.. hum khud hi hain.. mai..aap.... hum sab!


How can one just listen to these lines and can stay unaffected? Well.. I cant.Everytime I listen to these inspirational lines, my determination to work for upliftment of my village which is in west Bihar, grows stronger. I would like to know about your committments... and your answers to the question raised by Mohan Bhargawa.

0 Comments

Post a Comment

Copyright © 2009 Nomadic Ramblings All rights reserved. Theme by Laptop Geek. | Bloggerized by FalconHive.